Saturday 17 December 2011

....::::Best Free clips-Poetry-Wallpapers::::....

....::::Best Free clips-Poetry-Wallpapers::::....


Urdu Sad Poetry | aey Ishq

Posted: 17 Dec 2011 08:37 AM PST

Urdu Sad Poetry | aey Ishq

Some Urdu Sad poetry is what i am going o share with you today. Its really beautifully designed by the creator of this designed poetry. And the poetry is also of top class. This post is on the topic of Ishq…

You dil na lagay na dard uthay, mat roz milo to acha hai
Na pyar barhay na jhagra ho, tm door baso to acha hai…

Kisi phool say miltay chehray ko, meri duniya dekhna chahay gi
Jo paas tumharay kuch b nahi, tm door raho to acha hai…

Is pyar ki sunder bahoon mai, ab bahain dal k so b chuko
Yu g g k ab marnay say, mar mar k gio to acha hai…

Le kr zanjerain hathon mai, kuch log tumhari taak mai hain
Ab ishq humari galiyoon mai, na or phiro to acha hai
urdu sad poetryI hope you liked this post today on the topic of Urdu Sad Poetry…



Saturday 26 November 2011

wadaa yaad rukhnaa

Saahilkiya hai tum ne hum se aik wada yaad rakhna
bhool na jana kahin apna irada yaad rakhna
ab na humain rulana tum , ab na door jana tum
pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna
dil to na dukhao ge mujhay chhor to na jao ge
dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna
tum jo chhor jao ge hum to mar hi jaian ge
tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna
chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai
dil toor kar humain chhor kar kahin na jana yaad rakhna

afsoos na hoga

tanha baigana gum!kiya tujhaye afsos na ho ga
mer jaian kay hum kiy tujhaye afsos na ho ga
tu lakh sitam gur sahi muger marg-e-ewafa ka
duniya ko hai gum kiya tujhaye afsos na ho ga
iss bheer main hum lutf-e-safar bhool kay
aay nagsh-e-gadam kiya tujhaye afsos na ho ga
ub tri kali gair ka ghar ho kai hum ko
ruktaye hain gadam kiya tujhaye afsos na ho ga
tanha un say shab-e-hijar ki rodaad na kahna
woh ankh ho ki num kiya tujhaye afsos na ho ga

naheen bhulay

Dushman Ko Bhi Seenay Se Lagana Nahi Bhoolay
Hum Apnay Buzurgon Ka Zamana Nahi Bhoolay

Tum Ankhon Ki Barsaat Bichaye Huye Rakhna
Kuch Log Abhi Aag Lagana Nahi Bhoolay

Yeh Baat Alag Haath Kalam Ho Gaye Apnay
Hum Apki Tasveer Banana Nahi Bhoolay

Ik Umar Hui Main Toh Hansi Bhool Chuka Hoon
Tum Ab Bhi Mera Dil Dukhana Nahi Bhoolay

tum udass ho

Tum Udass Ho...~*~
~*~Raat Ko Chand Taroon Se Batain Mat Kia Karoo...~*~

~*~Pholoon Ko Dekh Kar Mat Chonka Karoo...~*~
~*~Koi Tabbiyat Ka Pouchay Tu...~*~

~*~Mousam K Bare Main Mat Bataya Karoo...~*~
~*~Kagaz Par Aarii Tirchii Lakirain Mat Khencha Karoo...~*~

~*~Warna...!!!~*~
~*~Warna Loug Kahay Ge Tum Udass Hoo...~*~

khizan

"Khurach kay rakh day meri zat ko khizan kay paton ki trha"

"jo karon main gilla to moo mor lay ajnabiyon ki trha"

"ye soch kar hi kanp othti hon kay"

aziyat main mobtala karon apno ko kis trha"

Friday 25 November 2011

lafzoon karishta

tujh se lafzoon ka naheen 'ruh ka rishta hai mera

to meri saansoon main tehleel hai khushboo ki tarhan

Tuesday 1 November 2011

....::::Best Free clips-Poetry-Wallpapers::::....

....::::Best Free clips-Poetry-Wallpapers::::....


Urdu Sad Poetry | Ahmed Faraz

Posted: 01 Nov 2011 11:48 AM PDT

Urdu Sad Poetry | Ahmed Faraz

Sab Qarenay usi dildar kay rakh dety hain,
ham ghazal main bhi hunar yaar k rakh dety hain,

Shayad aa jayen kabhi chashm e kharidar main ham,
jan o dil baich k bazar main rakh dety hain,

Zikr e janaan main yeh duniya ko kahan le aye,
log kiun mas’alay baykaar kay rakh dety hain,

Zindagi teri amanat ha magar kya keejay,
Log yeh bojh bhi thak har k rakh dety hain,

Ham to chahat main bhi Ghalib k Mukallid hain faraz,
Jis pe marty hain usay maar kay rakh dety hain,

This is a very beautiful urdu sad poetry for you guys. The designed version is also seen below.

Urdu Poetry

Urdu Shair | Ashraf Hassan Saoz

A beautiful Urdu Shair by an unknown poet Ashraf Hassan Saoz is also a part of our today’s Urdu Sad Poetry.

LAgi thi aag darakhtoon ko ik zamana hua,
Dhuwaan sa aaj bhi uth’ta ha aashiyanu main,

Urdu Sad Poetry



Friday 21 October 2011

har shaam

ہر شام تیری یاد میں جلتا ھوا دیکھوں
کب تک دل بیتاب مچلتا ھوا دیکوں
آنچل کی طرح سے لپٹ جاؤں تیرے
اور خود کو تیری ذات میں ڈھلتا دیکھوں

Tuesday 18 October 2011

....::::Best Free clips-Poetry-Wallpapers::::....

....::::Best Free clips-Poetry-Wallpapers::::....


Beautiful Sad Urdu Poetry

Posted: 18 Oct 2011 09:25 AM PDT

Sad Poetry

Bara dushwar hota ha,

Zara sa faisla karna

K jeevan ki kahani ko,

kahan say yad rakhna ha,

kahan say bhool jana ha,

Isay kitna batana ha,

Isay kitna chupana ha,

kahan ro ro k hansna ha,

Kahan hans hans k rona ha,

kahan awaz dena ha,

Kahan khamosh rehna ha,

kahan rasta badalna ha

Kahan say laot ana ha,

bara dushwar hota ha,

zara sa faisla karna,,,

Beautiful urdu poetry

Really beautiful and sad urdu poetry



Thursday 13 October 2011

MaiN Our Meri Tanhayii

MaiN Our Meri Tanhayii
شاعری میں ایک نیا ٹرینڈ آ گیا ھے۔ اورایک خاص بات یہ ھے ترقی جب ہو گی جب اس کی بنیا دیں مضبوط ھونگی۔اردو شاعری اب ترقی کی منزل طے کرتی جا رہی ھے۔دن بدن اس میں اضافہ ھوتا جا رھا ھے۔

Wednesday 12 October 2011

thinking

شاعری کو ایک خاص مقام حاصل یے۔ اس میں شاعر یا شاعرہ اپنے احساسات کو بیان کرتےہیں
۔بنیادی طور پر یہ ہمارے اردگرد کے ماحول سے متاثر ہو کر کی جاتی ہے
کچھٗ کی اپنی سوچ کچھ کا اپنا انداز ہوتا ہے۔ٗایسا بھی ہوتا ہے کہ ایک ہی بات پر شاعر شاعری کرتا رہتا ہے۔

fun

ٓاردو زبان کو بہت اھمیت حٓاصل ہے۔اردو اپنے لحاظ سے ایک منفرد زبان ہے۔ اس میں بات کرنے یا لکھنے کا[شاعری، آرٹیکلز،یا کوئی بھی معلومات لینا یا دینا]
کا اپنا مزا یے
درحقیقت شاعری کرنا ایک فن ہے۔ اچھے انداز میں پیش کرنے کے لیے اس کا سیکھنا ضروری ہے۔

Sunday 9 October 2011

DOSTI KA DAWAA



Dosti Ka Dawa Krne Wale Kuch Aise Log Bhi Hein Wasi…
Jinhein Hum Azeez tou Hein Mgr Apni Masrofiat K Baad….

ANKHAIN BHEEG JATI HAIN

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se

Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay

Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein

Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se

Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain

Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi

Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain

Her Ek Muflis K Maathe Per Alum Ki Daastanen Hain

Koi Chehra Bhi Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaate Hain

Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko

Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hay

Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per

Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

DAYAR E GAIR MAIN


dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete

tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete

tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna

dua wo karte k ham asman hila dete

hamein ye zom raha ab k wo pukarenge

unhen ye zid thi k har bar ham sada dete

wo tera gam tha k tasir mere lahje ki

k jis ko hal sunate use rula dete

tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin

jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete

tumhari yad ne koi jawab hi na diya

mere khayal k ansu rahe sada dete

samton ko main ta-umr kosta Syed

wo kuch na kahte magar honth to hila dete

MERA BACHPAN

Yahin pe tha mera bachpan, yahin kahin pe tha

yahin hansa tha

yahin kahi pe roya tha

yahin darakhton k saye main

?thak k soya tha

yahin pe jugnuon se apni bat chalti thi

wo hansi jo har pal sath chalti thi

yahin pe tha wo larakpan

yahin kahin pe tha

yahin pe Maa mujh ko seeny lagaye rakhti thi

yahin pe papa ne ik bar kaan khincha tha

shararat kisi aur n ki thi saza?mujhy thi mili

main kitni dear khara dhoop main raha tanha

tamam yar mery khush meri saza pe thy

yahin pe tha wo larakpan yahin kahin pe tha

?

KANGAN HOTA

Kash main tery haseen hath ka kangan hota

to bary pyar se chao se bary maan k sath

apni nazuk si kalai main charhati mujhko

aur betabi se furqat k khizan lamhon main

tu kisi soch main dubi jo ghumati mujhko

?main tery hath ki khushbu se mehek sa jata

kuch nahi to ik yehi benam se bandhan hota

kash main tery haseen hath ka kangan hota

ZULF RATOON MAIN

Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi,
Par Tabiyat Hai Wohi Bhoolney Walon Jesi….

Dhoondta Phirta Hun Yun Logo’n men Shabahat Uski,
K “WO” Khawabo’n men Bhi Lagti Hai Khyaalon Jesi….

Uski Baatein Bhi DiL’aawez Hen Surat Ki Tarha,
Meri Sochein Bhi Preshan Mere Balon Jesi..

Uski “AANKHON” Ko Kabhi GhOr Se Dekha Hai “FARAZ”
Soney Walon Ki Tarha Jagney Walon jesi…

PEHLA PIYAR


u Meraa Pehla Piyar Sajan
Tu Dilbar Tu Dildaar Sajan,

Tu Phoolon Ki Mehkaar Sajan
Tu Gull Tu Hi Gulzaar Sajan,

Tu Qudrat Ka Shahkaar Sajan
Mukh Tera Hai Gulbahar Sajan,

Tu Jaan-e-Jigar Tu Jaan-e-Gazal
Tu Khushiyon Ka Deedaar Sajan,

Soorat Teri Bholi Bhaali
Hain Laal Haseen Rukhsaar Sajan,

Dil Ki Baaten Tum Se Karna
Main Bhoola Hoon Har Baar Sajan,

Main Buzdil Hoon Main Pagal Hoon
Yeh Kehte Hain Sab Yaar Sajan,

Tere Nain Bane Talwaar-e-Piyar
Main Zakhmi Main Lachaar Sajan,

Na Tum Se Jis Din Baat Kare
Dil Rehta Hai Bezaar Sajan,

Jis Janib Bhi Ab Dekhon Main
Har Rasta Hai Pur Khaar Sajan,

Tum Bhi Maano Ek Baat Meri
Ab Chor Chalen Ghar Baar Sajan.


DUKH FASANA

Dukh fasana nahi k tujh se kahann

Dil bhi mana nahi k tujh se kahain,

Ek tu harf aashna tha magar

Ab zamana nahi k tujh se kahain,


Ae khuda dard e dil hai bakhshish e dost

Aab o daanaa nahi k tujh se kahain

Be tarah haal e dil hai aur tujh se

Dostana nahi k tujh se kahain

Qasidaa hum faqeer logon ka

Ek thikana nahi k tujh se kahain

Ab to barson se us gali men FaRAZ

Aana jaana nahi k tujh se kahain


WO SAMAJHTA HAI



woh samjta hai bichar janay se mit jaye ga ishq
ussay iss darya ki gharee ka andazza naheein

KHUSHI


KHUSHI Ankhoon main umadtay hain tu phir ruktay nhein ansoo


pulkoon pay khein dard ka darya tu nhein hay


is gher main sar e sham diye kis ne jila deye


barsoon se yahan koi rehta tu nhein hay



AB YADOON KO BADAL DENAY KA MOASAM AGEA

ab yadoon ko badal deney ka mosam aagaya
Uss bewafa ko dil se bhula deney ka mosam aagaya

Hum shikasta dil rekhta jaan huye hein abhi
Dhondh lo nai raastey un baatoon ka mosam aagaya

Ye phool , khushboo, titliyaan or bhanwerey
In sab baatoon ko ab dohraaney ka mosam aagaya

Wo terey lams ki khushboo meri saansoon mein hai
In khiyaloon ko hawa deney ka mosam aagaya


MERI ANKHOON MAIN BASAY HO

Meri Ankhon Main Basay Ho Tum Duaa Bun Ker
Tumhain Zindagi Bher Yunhi Chaounga Aitebaar Karo,


Meri Her Souch Main Shamil Hai Khayaal Tumhara,
Isay Sansoon Main Rachaounga Aitebaar Karo

Hay Laboun Per Jo Merey Naam Tumhara
Tumhain Apna Main Banaounga Aitebaar Karo,

Hain Kathin Rah-e-Wafa Jana,Toh kYa Hota Hay?
Dil Jala Ker Main Nibhaounga Aitebaar Karo

Mujhe Tum Say Hai MUhabbat tumhain Khaber Hai yeh
Main Isay Zindagi Banaounga Aitebaar Karo,

Tumhara He Chehra Basa Hai Meri In Aankho Main,
TuMhian Tabeer Banaounga Aitebaar Karo

Tumhain Paa Ker Ho Jayegi Sehal Zindagi Meri.
Yehi Duaa Bas Mangounga Aitebaar Karo,

Khuwaboun Main Kabhi Khayaloun Main Kehta HOuN Tumse Yehi
Main Zindagi Tum Sung Sajaoungi Aitebaar Karo....!!


MUHABBAT AISA DARIYA HAI


Mohobbat aisa derya hai

ke barish rooth bhi jaye to

pani kam nahi hota.

IK HATH MAIN KANGHI



Ek Haath Main Kangi Zulfain Sanwartay Hain
Seenay Per Haath Rakh Kar Tujh Ko Pukartay Hain
Ab Kiya Batayain Zalim, Hum Kiyon Guzartay Hain
Sunday Teri Gali Main, Monday Teri Gali Main

Itnay Parhay Hain Sar Per Danday Teri Gali Main
Arman Huway Hain Saaray Thanday Teri Gali Main

Tu Nay O Bay-Reham Hum Ko Bohat Sataya
Sandal Dikha Dikha Kar Hum Ko Bohat Bhagaya
Aey Bay-Reham Tujh Ko Hum Per Reham Na Aaya
Hum Khudkushi Karain Gain One Day Teri Gali Main

Itnay Parhay Hain Sar Per Danday Teri Gali Main

Arman Huway Hain Saaray Thanday Teri Gali Main

Tujh Per Nazar Thi Apnay Anjaam Per Nahin Thi
Yeh Haal Ho Ga Pit Kar, Hum Ko Khabar Nahin Thi
Nazr-e-Karam Thi Teri, Laikin Idhar Nahin Thi
Hum Garhnay Chalay Thay Jhanday Teri Gali Main

Itnay Parhay Hain Sar Per Danday Teri Gali Main
Arman Huway Hain Saaray Thanday Teri Gali Main

Jootay Utha Kar Ab Tou, Huway Hum Rawaana
Per ! Har Giz Na Khatam Hoga, Yeh Ishq Ka Fasana
Dhond Hi Lain Gai Koi, Deedar Ka Bahaana
Baicha Karain Gain Aakar, Anday Teri Gali Main

Itnay Parhay Hain Sar Per Danday Teri Gali Main
Arman Huway Hain Saaray Thanday Teri Gali Main


DEKHTA REHTA HUN



ME USS KO DEKHTA REHTA THA HAIRATON SE FARAZ,
YEH ZNDAGI SE TAA'RUF KI IBTIDA THI MERI !

UDASS KERNA THA



Usay udas b krna tha khud b rona tha


Ye hadsa b kabhi to hona tha


Wo mjh ko tor k phir jorta aksar


Main us k wastay jaisay khilona tha

SAFAR TO MAINE KIA THA


safar to maine kiya tha,
warna saz o saman us ke the.
Main to bus razdan tha,
warna to sare raaz us ke the.
Who dariya main pyasa baitha tha,
jab key samandar tamam us ke the.
Who dhoop main baitha tha saya dene ko,
jab ke darakth sare sayadaar us ke the.
Aur un to bazaari logon main risq maine bata tha,
lakin dar parda sare haat us ke the.
Maine jab kamal bulandi par jake soncha OMER,
yeh to sare kamal us ke the.


DEKHA TUJH KO


Dekha tujh ko to mujhe piyar ki chahat si hogai
Hum ko hr lamha khush rehne ki aadat si hogai

soocha na tha kabhi ishq bhi kaun gi
ab Mohabbat se badi mujhe mohabbat si hogai


MUJHAY AFSOOS HAI



Mujhay afsos hai janaan, tumhein paney ki khatir bh

zamaney key usoolon sai baghawat ho nahi sakti

Meray hathoon sai yun toheenay ulfat ho nahi sakti


Mujhy Aaeenay sai aisi adaawat ho nahi sakti



Mohabbat ki qasam aisi Mohabbat ho nahi sakti


Wahan per mai nahi hoon gi, han mein nahi hon gi


TUM CHAHOO TO

Tum Chaho To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Sakti Ho.
Tum Chaho To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Sakti Ho

Tum Chaho To Mujhay Sahra Say Nikal Sakti Ho
Tum Chaho To Mujhay Saiban Day Sakti Ho

Tum Chaho To Mujhay Tapte Dhoop Say Bacha Sakti Ho
Tum Chaho To Mujhay Apnay Wajood Main Chupa Sakti Ho

Tumhay Malom Hai Kay Yah Zinadagi Kuch Dino Ki Hai
Tum Chaho To Isay Hans Kar Guzar Sakti Ho

Tum Chaho To Mujhay Apne Zindagi Bana Sakti Ho
Tum Chaho To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Sakti Ho

Tum Chaho To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Sakti Ho
Tum Chaho To Kia Nahi Kar Sakti

Tum Chaho To Sub Kuch Kar Sakti Ho
Busssssssssssssssssssss..

Baat Tumhary Chahnay Ki Hai..


SATH CHALAY


Sath chaly dil ka dil ko nahi roka hum nay

jo na apna tha usay toot ka chaha hum nay

ik dhokay main kati umer hamari sari


kya batin kesay khoya kesay paya hum nay


DIN YEH RAAT



din ye raat ye lamhay achay say lagtay

tumhay sochoon to saaray silsilay achay saay lagtay haien


bohat door tak chalna magar phir bhi wahien rehna

mujhe tum say tumhi tak faslay achay say lagtay hain


URDU LANGUAGE

اردو زبان بہت اچھی ہے

UDASSS ZINDAGE

dekhaa hai zindagii ko kuchh itanaa qariib se
chehare tamaam lagane lage hain ajiib se

is rangatii hayaat kaa kab tak uthaayain baar
biimaar ab ulajhane lage hain tabiib se

har gaam par hai majamaa-e-ushshaaq muntazir
maqtal kii raah milatii hai kuu-e-habiib se

is tarah zindagii ne diyaa hai hamaaraa saath
jaise ko_ii nibaah rahaa ho raqiib se

KUCH BATAIN

kuch batain aisy hoty hain

jo bohat sunmbhali jaty hain

jo bin kahay sun li jaty hain

jo lafzon ki mohtaj nahin

bus jazbon say sumjhi jaty hain

jo titli jaisy dikhty nahin
pr khushbu ki tarha bhaty hain

jinhain sawan rut ki zaroorat nahin

bin sawan hi baras jaty hain

in baton ko tum phir

bin khahay hi aisay khilnay do

kuch jazbon ki abyari karo

inhain kali say phool bununay do

inhain lafzon ki tum dhoop na do

inhain waqt ji miti main phulnay do

in baton ka tum phir phul laina

inhain phool k jaisay sunmbhal laina
kiun k

kuch batain aisy hoti hain

jo aisay sunmbhali jaty hain


DOST MILTAY HAIN YAHAN


Dost miltyen hain yahan dil ko dhokhanay kay liye
Unglian rakhtyen hain who hum pay uthanye kay liye

Who hawaoun ki tarahn rukh ko badal layetyan hain
Hum naseeboun say larye thay jinay panye kay liye

Na kasoor un ka ye eik rasam chali aii hai
Tuhmatyen hoti hain dunia mei laganye kay liye

Na-Khuda maan kay bhetye thay jin ki kashti mei
Who humyen mujoun mei laye thay dubanay kay liye

KHAMOSH BETHO GAY

KABHI KHAMOSH BETHO GAY KABHI GUN GUNAO GAY

MAIN ITNA YAAD AAOONGA MUJHAY JITNA BHULAO GAY

KOI JAB POOCH BETHAY GAA KHAMOSHI KA SABBAB TUM SE

BUHAT SAMJHANA CHAHO GAY MAGGAR SAMJHA NAA PAO GAY

MERA GHUM MUSKURANAY MAIN KAHIN MAJBOOR KAR DAY GAA

KISSI MEHFIL MAIN JAO GAY TO RASMAN MUSKURAO GAY

KAHIN PAR BHI RAHAY HUM TUM MUHABBAT PHIR MUHABBAT HAI

KAHIN HUM YAAD AAIN GAY KAHIN TUM YAAD AAO GAY

MERI PEHLI KAWAISH

vo pyar ki kahani ho gai hai purani

yeh meri zindgani ho gai hai anjani

khoya khoya sa hoon,bikhra bikhra sa hoon

ajab intshar main kut rahi hai jvani

zulmat k andhairay main,nafrtoon k sayay main...

ganva rahay hain her din,her sham suhani

yadoon ka tufan jo umad ker aj aya

pta challa k apna mazi hai faqat pshemani

mayoosi guna hai,mayoos na ho JAMI

sayah raat k baad subhay roshan hai abhi aani,,...............



SADIYOON BAD


to mila bhe to sadiyoon k bad bhe

mere lub pay koi gila na tah

mere chup nay osay rola diya

jisay guftago main kamal tah