Saturday 26 November 2011

wadaa yaad rukhnaa

Saahilkiya hai tum ne hum se aik wada yaad rakhna
bhool na jana kahin apna irada yaad rakhna
ab na humain rulana tum , ab na door jana tum
pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna
dil to na dukhao ge mujhay chhor to na jao ge
dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna
tum jo chhor jao ge hum to mar hi jaian ge
tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna
chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai
dil toor kar humain chhor kar kahin na jana yaad rakhna

afsoos na hoga

tanha baigana gum!kiya tujhaye afsos na ho ga
mer jaian kay hum kiy tujhaye afsos na ho ga
tu lakh sitam gur sahi muger marg-e-ewafa ka
duniya ko hai gum kiya tujhaye afsos na ho ga
iss bheer main hum lutf-e-safar bhool kay
aay nagsh-e-gadam kiya tujhaye afsos na ho ga
ub tri kali gair ka ghar ho kai hum ko
ruktaye hain gadam kiya tujhaye afsos na ho ga
tanha un say shab-e-hijar ki rodaad na kahna
woh ankh ho ki num kiya tujhaye afsos na ho ga

naheen bhulay

Dushman Ko Bhi Seenay Se Lagana Nahi Bhoolay
Hum Apnay Buzurgon Ka Zamana Nahi Bhoolay

Tum Ankhon Ki Barsaat Bichaye Huye Rakhna
Kuch Log Abhi Aag Lagana Nahi Bhoolay

Yeh Baat Alag Haath Kalam Ho Gaye Apnay
Hum Apki Tasveer Banana Nahi Bhoolay

Ik Umar Hui Main Toh Hansi Bhool Chuka Hoon
Tum Ab Bhi Mera Dil Dukhana Nahi Bhoolay

tum udass ho

Tum Udass Ho...~*~
~*~Raat Ko Chand Taroon Se Batain Mat Kia Karoo...~*~

~*~Pholoon Ko Dekh Kar Mat Chonka Karoo...~*~
~*~Koi Tabbiyat Ka Pouchay Tu...~*~

~*~Mousam K Bare Main Mat Bataya Karoo...~*~
~*~Kagaz Par Aarii Tirchii Lakirain Mat Khencha Karoo...~*~

~*~Warna...!!!~*~
~*~Warna Loug Kahay Ge Tum Udass Hoo...~*~

khizan

"Khurach kay rakh day meri zat ko khizan kay paton ki trha"

"jo karon main gilla to moo mor lay ajnabiyon ki trha"

"ye soch kar hi kanp othti hon kay"

aziyat main mobtala karon apno ko kis trha"

Friday 25 November 2011

lafzoon karishta

tujh se lafzoon ka naheen 'ruh ka rishta hai mera

to meri saansoon main tehleel hai khushboo ki tarhan

Tuesday 1 November 2011

....::::Best Free clips-Poetry-Wallpapers::::....

....::::Best Free clips-Poetry-Wallpapers::::....


Urdu Sad Poetry | Ahmed Faraz

Posted: 01 Nov 2011 11:48 AM PDT

Urdu Sad Poetry | Ahmed Faraz

Sab Qarenay usi dildar kay rakh dety hain,
ham ghazal main bhi hunar yaar k rakh dety hain,

Shayad aa jayen kabhi chashm e kharidar main ham,
jan o dil baich k bazar main rakh dety hain,

Zikr e janaan main yeh duniya ko kahan le aye,
log kiun mas’alay baykaar kay rakh dety hain,

Zindagi teri amanat ha magar kya keejay,
Log yeh bojh bhi thak har k rakh dety hain,

Ham to chahat main bhi Ghalib k Mukallid hain faraz,
Jis pe marty hain usay maar kay rakh dety hain,

This is a very beautiful urdu sad poetry for you guys. The designed version is also seen below.

Urdu Poetry

Urdu Shair | Ashraf Hassan Saoz

A beautiful Urdu Shair by an unknown poet Ashraf Hassan Saoz is also a part of our today’s Urdu Sad Poetry.

LAgi thi aag darakhtoon ko ik zamana hua,
Dhuwaan sa aaj bhi uth’ta ha aashiyanu main,

Urdu Sad Poetry