Thursday 29 March 2012

....::::Best Free clips-Poetry-Wallpapers::::....

....::::Best Free clips-Poetry-Wallpapers::::....


Best Urdu Poetry and Ghazals

Posted: 29 Mar 2012 01:51 AM PDT

Here is a beautiful Ghazal in Urdu Poetry.

Tu hawa kay hath pe chahatoun ka dia jalanay ki zid na kar,
Yeh udaas logun ka sheher ha yahan muskuranay ki zid na kar,

Main muhabbatoun ka dasa hua, mera gham hai hadd say barha hua,
Main shikasta ghar ki misal hun meray pas anay ki zid na kar,

Main teri ghazal to nahi hun jo, har ik kay lab per saji rahun,
Main tow aik misra-e-dard hun, mujhay gungunanay ki zid na kar,

Abhi laot aa abhi waqt ha abhi jan baki ha jism main,
Tujhay ilm hai meri jan hai tu, mujhay aazmany ki zid na kar,

A really amazing sad poetry ghazal is the above. I just loved the second shair “main shikasta ghar ki misal hun meray pas anay ki zid na kar”. Here is another one…

Jo Bhi Dukh Yad Na Tha Yad Aya,
Aaj Kya Jaaniay Kya Yad Aya,

Phir Koi Hath Hai Dil Par Jaisay,
Phir Tera Ehd-E-Wafa Yad Aya,

Jis Tarah Dhund Mein Liptay Huay Phool,
Ik aik NaQsh Tera Yad Aya,

Aisi Majburi Ke Alam Mein Koi,
Yad Aya Bhi To Kya Yad Aya,

Aye RafeQ Sar-E-Manzil Jakar,
Kya Koi Aablaapa Yaad Aaya,

Yaad Aaya Tha Bichhadna Tera,
Phir Nahi Yaad Ke Kya Yaad Aaya,

Jab Koi Zakhm Bana Daagh Bana,
Jab Koi Bhul Gaya Yaad Aaya,

Ye Mohabbat Bhi Hai Kya Rog,
Jisko Bhule Wo Sada Yaad Aaya…

Hope you liked my Urdu poetry :)



Monday 26 March 2012

....::::Best Free clips-Poetry-Wallpapers::::....

....::::Best Free clips-Poetry-Wallpapers::::....


Some Urdu Poetry

Posted: 26 Mar 2012 11:31 AM PDT

Sad Poetry

Aey dila? ham huay paband-egham e yaar k tu?
Ab musibat main bhala ham hain giraftar kay tu?

Here is another piece of poetry.

Ranj kuch kam to hua aaj teray milnay say,
Yeh alag bat kay woh bat na thi pehli si,

Ek or sad poetry ka bohot alaa shair arz ha.

Ekhlas, pyar, rabt, muhabbat, talukaat,

ab yeh tamam lafz hain nishtar banay huay,



Wednesday 7 March 2012

duniya bhar ki khushian

chahta hai ke duniyaan bhar ki khushiyaan samait ke tumhara daman bhardoon,
mager mere pass julti hoee yadon ke siwa kuch bhi nahi,
jab bhi tumhara dil dharkey ga, samjh leyna tumhien yaad kia hai mien ney
tum mere humsafar na sahi, hum do qadam saath toh chaley they,
un qadmoon ki kasam,
un yadoon ki kasam,
mujhey bhool jana.. mujhey bhool jana!

khabhe sochna

Kabhi to sochna tum bhi
Mari batain
Mari muskurahat
Mari shararat
Mari chahat
Mari sansain
Mari dharkan
Mari mohobat
Shayad tumhain yaad aa jay
Ka tumhain bhi mujh say Mohobat thi
Tumhari bhi aik khowahish thi
Tumhari bhi aik tamanna thi
Tumhari bhi aik arzoo thi
Shayad tumhain yaad aajay
Kay tumhain bhi mujh say Mohobat thi
Aik baar
Sirf aik baar
Kabhi soochna tum bhi ........

bhulana chahain b...

Un ko bhulana be chahien mager bhula na sakey
Yadien un ki mitana be chahien mager mita na sakey

usaay kehna

Usse kehna uski yad main be-had azziyat hai
ya to apna naqsh dho jaye, ya phir mera he ho jaye...!!!!!

iishq

Ishq ishq kerta ha jab hoga tu pata chal jayee ga
mit jayee ga tu jab rog ye tughe lag jayee ga

dhoonda

Kitnay Logoon Say Tery Baaray Pocha Men Nay
Kiti Mushkil Say Tra Aa k Theekana Dhonda

ajo

Tum jao Hum se door to Ek Kaam kar jana”
“Kuch pal Apne Humare Naam kar jana

duaa


marey dua hai ke tu sab se naik seerat ho..
tera dil bhi tarey tarha khoubsoorat ho....
dua se qabal milay tujh ko jo tu chahey.....
ke khud dua ko tarey haathon ki zarorat ho.

yadain

Aoo k ab yadoon ko badal deney ka mosam aagaya
Uss bewafa ko dil se bhula deney ka mosam aagaya

Hum shikasta dil rekhta jaan huye hein abhi
Dhondh lo nai raastey un baatoon ka mosam aagaya

Ye phool , khushboo, titliyaan or bhanwerey
In sab baatoon ko ab dohraaney ka mosam aagaya

Wo terey lams ki khushboo meri saansoon mein hai
In khiyaloon ko hawa deney ka mosam aagaya

apna maan lia

jis ko dil ne apna man liya
us ko dil torney ki adat thi

humein dil jorna ata tha
us ko tanz karney ki adat thi

humein bardasht kerna ata tha
usey mazak uraney ki adat thi

humein sabar kerna ata tha
usey dosaroon ki khushiyoun ko

ghum mein badalney ki adat thi
humein ghum ko bhi


khushi mein badalna ata tha
usey kisi ke dard ka ehsaas na tha


humarey pass dard hi dard tha so sarey dard
hum ne dil mein chupa liye seh liye


bus bewafai na seh sakey
aur itni door ja basey


jahan us ki yadein bhi na aa paein
magar yadon per


kis ka bus chala hai so hum bhi
un ko na bhool paein hain

bhulana

Tumhen Bhulana Hum Chahte Hain Teri Yaadon ko dil se Nikalna Hum Chahte Hain
Magar Hum Aisa Kar Nahin Sakte
Mohabbat Cheez hi aisee hai

bhulana

Tumhen Bhulana Hum Chahte Hain Teri Yaadon ko dil se Nikalna Hum Chahte Hain
Magar Hum Aisa Kar Nahin Sakte
Mohabbat Cheez hi aisee hai

zindage

NA MERE QALAM SE LIKHI GAI
NA MERI ZUBAAN SE ADA HOI
JO NAZAR SE KEHNAY KI BAAT HAY
KISI HARAF MAIN NA SAMAYE GI
KOI PHOOL CHUNTA HAY KIS LEYE
KOI DHOOL HOTA HAY KIS TARHA
YEH WAQT WAQT KI BAAT HAY
TUJAY ZINDAGI BATAYE GI

sapnay

KISI KI ANKH KAY SAPNAY CHURA KAR
KUCH NHEIN MILTA
MANDEROON SE CHARAGOON KO BUJA KAR
KUCH NHEIN MILTA
USAY KEHNA PALKOON PE NA TANKAY KHUAAB KI JALER
SUMANDER KAY KINARAY GHER BANA KAR
KUCH NHEIN MILTA

kuch log

Kuch log kitnay apnay se nazar atay hain
Sath rahtay howay bhii dorii ka ehasa dilaty hain...
Pal mai hazaron khushain dai jaty
Tu pal mai zinadgii ka jeena azab kar jaty hain...
Naam hamara likhtay hain tu mita daity
Kabhii bol k tu kabhii bina bolay...
Kyun hamara dil bar bar dukha jaty hain
Kyun kuch log zinadgii ko azab kar jaty hain..
Main kehti hoon kuch woh kehaty hai kuch
BUS GHUNEGAR HUMAIN HII KEH JATY HAIN
Kuch log kitnay apnay se nazar atay hain
Sath rehtay howay bhii dorii ka ehsas dilaty hain....

Sunday 4 March 2012

GHAIR TO PHIR GHAIR HAIN

Gair phir gair hain praye hain
Hum ne apne bhi aazmye hain

Un chiragon ka hosla dakho
Jo hawaoon ke zad main aaye hain
Aao ab ye hasab bhi ker lein
Kis ne kitne situm uthaye hain
Sub ki pehchan ho gai yaroo

YAKTARFA MUHABAT



tum nahi jante yakk trfa mohabat kya hai,,,,
ye wo mehnat hai jo log bekaar kia krte hain


BADLA WAFA KA DAINGAY BARI SADGI SAI HUM
TUM HUM SAI ROOTH JAO GAI AUR ZINDAGI SAI HUM
khud apna muqadar sanwaare to koi
woh sunta hai sab ki pukare to koi

gunhagaar hoo mien,khatakaar hoo mien
isi ke reham ka talabgaar ho mien

wohi jo ke awal wohi jo ke aakhir
wohi jo ke ghayab wohi jo ke hazir

jo rehta hai dil mien kahabardaar hai woh
musibat mien sab ka madadgaar hai woh

isse yaad rakho ke jaana wahee hai
yea duniya hamesha thikaana nahi hai

woh qudrat mien jiski sabhi khushk-o-tar hai
ayaa aur nihaa per issi ki nazar hai

wohi sab se aala wohi sab se balaa
woh sunta hai sab ki badi shaan wala