mix_poetry





muhabbat ho jate hai

kise manoos lamhay main ,kise manoos cheray say
muhabbat ki naheen jate, muhabbat ho hi jate hai 





KHUSH -FEHMI


main muthii bandd karr ka
                   iss kusch-fahmii main rahii,kahh,kushian muthi mainqadd karna bohot asan hota han....

magar muthi sa nazar utha kr 

irdd gird dakhha tu

yahh maloom hoa kahh


kushian, kushboo ki manand hoti hann

inhain qadd karna tu bohot mushkil hota ha..

phir yahh soochta hoa meri nazar,

band muthii pr parii,

tu yahh ahsas hoa

meri muthi khali haa....!



JINKI YAAD MAIN HUM DEEWANAY HOGAY


Jinki yaad mein hum deewane ho gaye, 
Wo hum hi se begaane ho gaye 
Shayad unhe talash hai ab naye pyaar ki
 Kyunki unki nazar mein hum purane ho gaye 
Baaki kuch na raha zamaane mein
 Jawani guzar rahi mehkhaane mein 
Ab to karle mere pyaar pe yakeen 
Warna zindagi beet jaayegi aazmane mein
 Tumhari har adaa ka kya jawab du 
Apne pyaar ko kya upahaar du Koi 
acha sa phool hota to maali se mangwata 
Jo khud gulaab hai usko kya gulaab du. 
Waqt hume bhula chuka hai, 
Mukaddar bhi na bhula de Hum pyaar isliye nahi karte
 Ki kahin hume phir se koi na rula de
 Aankhon mein aansu aa jaate hain
 Phir bhi labo pe hansi rakhni padti hai
 Yeh mohabbat bhi kya cheez hai 
yaaron Jisse karte hai useese chupani padti hai 


YEH UDASSI KAISSI

Sunoon yeh ankhon mai udaasi kesi
Yeh hontoon pe muskaan kesi

Tanha akeli kaha ghum ho tum
Kin udasion ko dil mai basai hoi ho tum

Lagta hai yun kuch kho gaya hai
Jissey youn dhoon rahi ho tum

Is Gham ko bhula do tum 
In tanhyion ko Rafa kerdo tum

Yaad kero apne khuda ko tum
Yaqeen aur aitmaad rekho usi per tum

Muradein pori kerne wala hai bas ek wohi
Khushian aur muskrahtey mang lo usi se tum

Aoon mera haath tham lo tum
Tanhai ko choor ker zindagi ko apna lo tum ......... 



DEKH LO


Awaz De Kar Dekh Lo Shahid Woh Mil Hi Jaey Ga,
Warna Yah Umar Bhar Ka Saffar Raigaan To He,
Ek Khass Had Tak A Gai Be Rukhi Tery,
Nam Us Ka Me Ne Gardish-e-Iyaam Rakh Diya,
Ek Muddat Se Tery Yaad Bhi Na Aai Humhe,
Or Hum Bhool Gaey Hon Tujhasy Aisaa Bhi Nas Ho,
Jabeen Per Bul Bhi Na Aaya Ganwa Ke Donoo Jahan,
Jo To Chutta To Me Apni Shikash Man Giya. 



KAB TAK SOONOON GAY

Kab tak sunoge yaaron,is dil me taraane bahut hain,
saath jeekar dekho,jeene ke bahaane bahut hain,
Pehle kabhi duniya pyar or bharose par tika karti thi,
aaj pyar ke kam,-patthar ke insan bahut hain,



TUMNE KEH DIA K

Tum Ne Keh Dia Kay Mohabbat Nahi Milli

Mujh Ko Tu Yeh Bhi Kehney Ki Muhalat Nahi Milli


Neendoo Kay Des Jaty Koi Khuwab Dekhtay

Lakin Ghar Main Diya Jalaney ki Fursat Nahi Milli


Tujh Ko Yu Khair Shehar Kay Logo Ka Khuf Tha

Aur Mujh Ko Tu Apnay Ghar Se Ijazat Nahi Milli


Phir Ikhtilaf-E-Raye Ki Surat Nikal ParHi

Apni Yahan Kisi Se Bhi Adat Nahi Milli


Bezar Yun Huay Kay Teri mohabbat Main Hamien

Sab Kuch Milla Sakun Ki Dulat Nahi Milli

IK WAADAA


kiya hai tum ne hum se aik wada yaad rakhna 
bhool na jana kahin apna irada yaad rakhna 
ab na humain rulana tum , ab na door jana tum 
pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna 
dil to na dukhao ge mujhay chhor to na jao ge 
dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna 
tum jo chhor jao ge hum to mar hi jaian ge
tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna 
chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai 
dil toor kar humain chhor kar kahin na jana yaad rakhna



DUA KIO NAHEEN


haath uthe hain magar lab pe duaa koii nahiin
kii ibaadat bhii vo jis kii jazaa koii nahiin


ye bhii vaqt aanaa thaa ab to gosh har aavaaz hai
aur mere barbaad-e-dil men sadaa koii nahiin

aa ke ab tasliim kar len tuu nahiin to main sahii
kaun maanegaa ke ham men bevafaa koii nahiin

vaqt ne vo khaak udaaii hai ke dil ke dasht se
qaafile guzare hain phir bhii naqsh-e-paa koii nahiin


khud ko yuun mahasuur kar baithaa huun apanii zaat men
manzilen chaaron taraf hai raastaa koii nahi

kaise raaston se chale aur kis jagah pahunche 
yaa hujuum-e-dostaan thaa saath yaa koii nahiin


KIA KHOOB SILA DIA


Dost Kya Khoob Wafaoon Ka Sila Daitay Hain
Her Naye Moor Per Ek Zakm Naya Daitay Hain

Tum Say To Khair Ghari Bher Ki Mulakat Rahi
Log Barsoon Ki Rafakat Ko Bhula Daitay Hain

Kaisay Mumkin Hai Ke Dhowan Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jalay
Chot Parti Hai To Pathar Bhi Sada Daitay Hain

Kon Hota Hai Musibat Main Kisi Ke Ae MeMoN
Aag Lagti Hai To Patey Bhi Hawa Daitay Hain

Jin Pay Hota Hai Bohat Dil Ka Bharosa 
Waqt Parney Pey Wohi Log Daga Daitay Hain


MEHAK

Mehek teri mohabbat ki aaj bhi kisi ko 

mehkaati hogi.....

yakeen hai kay zaroor tu bhi kisi ko chahti 

hogi.....

par kiyun nahin karti hai Izhaar us say.....

kiya us ko..... teri chahat nahin satati hogi...


KAASH


KAASH TU MIL JAATA 
Kaash tumne bhi mujh ko chaha hota 
Auron ki tarhan apna mujh ko kaha hota 
Maine tujh ko chaha tujh ko hi socha 
Kaash tumne bhi meri tarhan socha hota 
Sochta hoon tujh ko bhool jaoon main
Kaash yeh hunar bhi mujh ko aaya hota 
Ek doosre ke beghair na jee sakte 
Kaash humara bhi koi aisa talluq hota

AKS E KHUSHBOO
Aks-e-khushboo hoon bikharnay say na rokay koyee---
Aur bikhar jaon to mujh ko na samaitay koyeee


Kamp uthtee hoon mein ye soch kay tanhayee mein---
Meray chehray per tera naam na perh lay koyee


Jiss tarah khwab meray ho gaey raiza raiza---
Uss tarah say na kabhee toot kay bikharay koyee


Mein to uss din say hirasaan hoon kay jab hukm milay---
Khushk phoolom ko kitaaboon mein na rokay koyee


Ab to iss raah say woh shakhs guzarta bhee naheen---
Ab kis umeed pay derwazay say jhankay koyee


Koyee aahat koyee awaz koyee chaap naheen---
Dil kee galiyaan baree sunsaan hein aaey koyee

KHOOBSURAT HAIN WO LAB

khubsoorat hain wo lub
jo pyari batein kertey hain 

khubsoorat hai wo muskurahat
jo dosaroon ke chehroon per bhimuskan saja de 

khubsoorat hai wo dil
jo kisi ke dard ko samjhey
jo kisi ke dard mein tarpey

khubsoorat hain wo jazbat
jo kisi ka ehsaas karein

khubsoorat hai wo ehsaas
jo kisi ke dard ka madawa baney

khubsoorat hain wo batein
jo kisi ka dil na dukhaein 

khubsoorat hain wo ankhein
jin mein pakezgi ho
sharm o haya ho

khubsoorat hain wo ansoo
jo kisi ke dard ko 
mehsoos kerke beh jaein

khubsoorat hain wo Hath
jo kisi ko mushkil 
waqat mein tham lein 

khubsoorat hain wo qadam
jo kisi ki madad ke liye
aagey berhein !!!!! 

khubsooart hai wo sooch
jo kisi ke liye acha soochey

khubsoorat hai wo insan
jis ko KHUDA ne ye
khubsoorati ada ki.


PHIR SEY  MOASAM BAHAROON KA
 Phir Say Mousam Baharoon Ka Anay Ko Hai, Phir Say Rang-E-Zamana Badal Jai Ga
Ab Ki Bazam-E-Chiraghan Sajja Len Gain Hum, Yeh Bhi Aarmma Dil Ka Nikal Jai Ga

Aap Kar Den Jo Mujh Par Nigha-E-Karam, Meri Ulfaat Ka Reh Jai Ga Kuch Bharam
Yohn Fasana Tu Mera Rahay Ga Wohi, Sirf Anwaan Is Ka Badal Jai Ga

Pheeki Pheeki Si Kion Shaam-E-May Khana Hai, Luttf Saaqi Bhi Kam Khayali Paimana Hai
Apni Nazroon Say Hi Kuch Pilla De Jiey, Rang Mehfil Ka Khud Hi Badal Jai Ga

Merey Mitnay Ka In Ko Zara Gham Nahin, Zulf Bhi In Ki Aye Dost Barham Nahin
Apnay Honay Na Honay Say Hota Hai Kya, Kaam Duniya Ka Yohn Hi Tu Chal Jai Ga

Aap Nay Dil Jo Mohsin Ka Toora Tu Kia, Aap Nay Is Ki Duniya Ko Choora Tu Kia
Aap Itnay Tu Aakhir Pareshan Na Ho, Woh Sambhaltay Sambhaltay Sambhal Jai G

DIL KO SAZA DE 



Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay 
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay 

Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya 
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay

Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain 
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay 

Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay 

Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh 
Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay

Koi To Baat Hia Us Main saqib
Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay



UNHONAY KHAWAB 

kuch khawab Unhone dekha aur aansu gir pade,bhari basant mein jaise phul bikhar pade,dukh vo nahi ki unhone hamein alvida kaha,dukh toh yeh hai ki uske baad woh khud bhi ro pade. 


KUCH KHAWAB

kuch khawab
Ek Khwab hai....Tere honton Ki Hasi Banane ka Khwab hai, Tere Aagosh main Simat Jane Ka Khwab Hai, Tu Lakh Bacha Le Daman Ishq Ke Hathon, Aasma Ban Kar Tuj Par Cha Jane Ka Khwab Hai, Ajmayish Yu To Acchi Nahi Hoti Ishq ki, Tu Chahe To Teri Takdir Banane Ka Khwab Hai, Wo Maut Bhi Laut Jaye Tere Darwaje Pe Aa Ke, Tuj Ko Aisi Zindgi Dene Ka Khwab Hai, Jee Bhi Lenge Agar Jina Pada Tera Bina, Lakin Tuj Par To Mar Mitne Ka Khwab Hai....


TERAY LIYE AISA HO JAYE


tarey liye marey dil se nikli ye dua.....

ke tarey zaat ka mehwar koi mehtaab hojaye.......

jin pe barastey hain khuda ki khaas rehmatain..........

un chand hastioun main tera intekhaab hojaye........


AGAR HUM NA HOTAY.......

Agar Hum Na Hote To
Tumhare Chehre Ko zubi Kon Kehta 

Agar Hum Na Hote To
Tumhari Batoon Ko Ghazal Kon Kehta 

Agar Hum Na Hote To
Tumhari Tasweer Ke Ebadat Kon karta 
Agar Hum Na Hote To
Tumhein Is DuniYa Main Mohabbat Kon Karta

Agar Himmat Ho Tum Main .. 
To Eik Baar Apna Ghongat Utha Kar Dekh Lena 

Agar Hum Na Hote To
Tumhare Chehre Ke Ziyarat Kon Karta