Saturday 26 November 2011

afsoos na hoga

tanha baigana gum!kiya tujhaye afsos na ho ga
mer jaian kay hum kiy tujhaye afsos na ho ga
tu lakh sitam gur sahi muger marg-e-ewafa ka
duniya ko hai gum kiya tujhaye afsos na ho ga
iss bheer main hum lutf-e-safar bhool kay
aay nagsh-e-gadam kiya tujhaye afsos na ho ga
ub tri kali gair ka ghar ho kai hum ko
ruktaye hain gadam kiya tujhaye afsos na ho ga
tanha un say shab-e-hijar ki rodaad na kahna
woh ankh ho ki num kiya tujhaye afsos na ho ga

0 comments:

Post a Comment