Urdu Sad Poetry | Ahmed Faraz
Sab Qarenay usi dildar kay rakh dety hain,
ham ghazal main bhi hunar yaar k rakh dety hain,
Shayad aa jayen kabhi chashm e kharidar main ham,
jan o dil baich k bazar main rakh dety hain,
Zikr e janaan main yeh duniya ko kahan le aye,
log kiun mas’alay baykaar kay rakh dety hain,
Zindagi teri amanat ha magar kya keejay,
Log yeh bojh bhi thak har k rakh dety hain,
Ham to chahat main bhi Ghalib k Mukallid hain faraz,
Jis pe marty hain usay maar kay rakh dety hain,
This is a very beautiful urdu sad poetry for you guys. The designed version is also seen below.
Urdu Shair | Ashraf Hassan Saoz
A beautiful Urdu Shair by an unknown poet Ashraf Hassan Saoz is also a part of our today’s Urdu Sad Poetry.
LAgi thi aag darakhtoon ko ik zamana hua,
Dhuwaan sa aaj bhi uth’ta ha aashiyanu main,
0 comments:
Post a Comment