Friday 21 October 2011

har shaam

ہر شام تیری یاد میں جلتا ھوا دیکھوں
کب تک دل بیتاب مچلتا ھوا دیکوں
آنچل کی طرح سے لپٹ جاؤں تیرے
اور خود کو تیری ذات میں ڈھلتا دیکھوں

Tuesday 18 October 2011

....::::Best Free clips-Poetry-Wallpapers::::....

....::::Best Free clips-Poetry-Wallpapers::::....


Beautiful Sad Urdu Poetry

Posted: 18 Oct 2011 09:25 AM PDT

Sad Poetry

Bara dushwar hota ha,

Zara sa faisla karna

K jeevan ki kahani ko,

kahan say yad rakhna ha,

kahan say bhool jana ha,

Isay kitna batana ha,

Isay kitna chupana ha,

kahan ro ro k hansna ha,

Kahan hans hans k rona ha,

kahan awaz dena ha,

Kahan khamosh rehna ha,

kahan rasta badalna ha

Kahan say laot ana ha,

bara dushwar hota ha,

zara sa faisla karna,,,

Beautiful urdu poetry

Really beautiful and sad urdu poetry



Thursday 13 October 2011

MaiN Our Meri Tanhayii

MaiN Our Meri Tanhayii
شاعری میں ایک نیا ٹرینڈ آ گیا ھے۔ اورایک خاص بات یہ ھے ترقی جب ہو گی جب اس کی بنیا دیں مضبوط ھونگی۔اردو شاعری اب ترقی کی منزل طے کرتی جا رہی ھے۔دن بدن اس میں اضافہ ھوتا جا رھا ھے۔

Wednesday 12 October 2011

thinking

شاعری کو ایک خاص مقام حاصل یے۔ اس میں شاعر یا شاعرہ اپنے احساسات کو بیان کرتےہیں
۔بنیادی طور پر یہ ہمارے اردگرد کے ماحول سے متاثر ہو کر کی جاتی ہے
کچھٗ کی اپنی سوچ کچھ کا اپنا انداز ہوتا ہے۔ٗایسا بھی ہوتا ہے کہ ایک ہی بات پر شاعر شاعری کرتا رہتا ہے۔

fun

ٓاردو زبان کو بہت اھمیت حٓاصل ہے۔اردو اپنے لحاظ سے ایک منفرد زبان ہے۔ اس میں بات کرنے یا لکھنے کا[شاعری، آرٹیکلز،یا کوئی بھی معلومات لینا یا دینا]
کا اپنا مزا یے
درحقیقت شاعری کرنا ایک فن ہے۔ اچھے انداز میں پیش کرنے کے لیے اس کا سیکھنا ضروری ہے۔

Sunday 9 October 2011

DOSTI KA DAWAA



Dosti Ka Dawa Krne Wale Kuch Aise Log Bhi Hein Wasi…
Jinhein Hum Azeez tou Hein Mgr Apni Masrofiat K Baad….

ANKHAIN BHEEG JATI HAIN

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se

Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay

Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein

Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se

Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain

Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi

Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain

Her Ek Muflis K Maathe Per Alum Ki Daastanen Hain

Koi Chehra Bhi Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaate Hain

Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko

Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hay

Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per

Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

DAYAR E GAIR MAIN


dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete

tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete

tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna

dua wo karte k ham asman hila dete

hamein ye zom raha ab k wo pukarenge

unhen ye zid thi k har bar ham sada dete

wo tera gam tha k tasir mere lahje ki

k jis ko hal sunate use rula dete

tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin

jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete

tumhari yad ne koi jawab hi na diya

mere khayal k ansu rahe sada dete

samton ko main ta-umr kosta Syed

wo kuch na kahte magar honth to hila dete

MERA BACHPAN

Yahin pe tha mera bachpan, yahin kahin pe tha

yahin hansa tha

yahin kahi pe roya tha

yahin darakhton k saye main

?thak k soya tha

yahin pe jugnuon se apni bat chalti thi

wo hansi jo har pal sath chalti thi

yahin pe tha wo larakpan

yahin kahin pe tha

yahin pe Maa mujh ko seeny lagaye rakhti thi

yahin pe papa ne ik bar kaan khincha tha

shararat kisi aur n ki thi saza?mujhy thi mili

main kitni dear khara dhoop main raha tanha

tamam yar mery khush meri saza pe thy

yahin pe tha wo larakpan yahin kahin pe tha

?

KANGAN HOTA

Kash main tery haseen hath ka kangan hota

to bary pyar se chao se bary maan k sath

apni nazuk si kalai main charhati mujhko

aur betabi se furqat k khizan lamhon main

tu kisi soch main dubi jo ghumati mujhko

?main tery hath ki khushbu se mehek sa jata

kuch nahi to ik yehi benam se bandhan hota

kash main tery haseen hath ka kangan hota

ZULF RATOON MAIN

Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi,
Par Tabiyat Hai Wohi Bhoolney Walon Jesi….

Dhoondta Phirta Hun Yun Logo’n men Shabahat Uski,
K “WO” Khawabo’n men Bhi Lagti Hai Khyaalon Jesi….

Uski Baatein Bhi DiL’aawez Hen Surat Ki Tarha,
Meri Sochein Bhi Preshan Mere Balon Jesi..

Uski “AANKHON” Ko Kabhi GhOr Se Dekha Hai “FARAZ”
Soney Walon Ki Tarha Jagney Walon jesi…

PEHLA PIYAR


u Meraa Pehla Piyar Sajan
Tu Dilbar Tu Dildaar Sajan,

Tu Phoolon Ki Mehkaar Sajan
Tu Gull Tu Hi Gulzaar Sajan,

Tu Qudrat Ka Shahkaar Sajan
Mukh Tera Hai Gulbahar Sajan,

Tu Jaan-e-Jigar Tu Jaan-e-Gazal
Tu Khushiyon Ka Deedaar Sajan,

Soorat Teri Bholi Bhaali
Hain Laal Haseen Rukhsaar Sajan,

Dil Ki Baaten Tum Se Karna
Main Bhoola Hoon Har Baar Sajan,

Main Buzdil Hoon Main Pagal Hoon
Yeh Kehte Hain Sab Yaar Sajan,

Tere Nain Bane Talwaar-e-Piyar
Main Zakhmi Main Lachaar Sajan,

Na Tum Se Jis Din Baat Kare
Dil Rehta Hai Bezaar Sajan,

Jis Janib Bhi Ab Dekhon Main
Har Rasta Hai Pur Khaar Sajan,

Tum Bhi Maano Ek Baat Meri
Ab Chor Chalen Ghar Baar Sajan.


DUKH FASANA

Dukh fasana nahi k tujh se kahann

Dil bhi mana nahi k tujh se kahain,

Ek tu harf aashna tha magar

Ab zamana nahi k tujh se kahain,


Ae khuda dard e dil hai bakhshish e dost

Aab o daanaa nahi k tujh se kahain

Be tarah haal e dil hai aur tujh se

Dostana nahi k tujh se kahain

Qasidaa hum faqeer logon ka

Ek thikana nahi k tujh se kahain

Ab to barson se us gali men FaRAZ

Aana jaana nahi k tujh se kahain


WO SAMAJHTA HAI



woh samjta hai bichar janay se mit jaye ga ishq
ussay iss darya ki gharee ka andazza naheein

KHUSHI


KHUSHI Ankhoon main umadtay hain tu phir ruktay nhein ansoo


pulkoon pay khein dard ka darya tu nhein hay


is gher main sar e sham diye kis ne jila deye


barsoon se yahan koi rehta tu nhein hay



AB YADOON KO BADAL DENAY KA MOASAM AGEA

ab yadoon ko badal deney ka mosam aagaya
Uss bewafa ko dil se bhula deney ka mosam aagaya

Hum shikasta dil rekhta jaan huye hein abhi
Dhondh lo nai raastey un baatoon ka mosam aagaya

Ye phool , khushboo, titliyaan or bhanwerey
In sab baatoon ko ab dohraaney ka mosam aagaya

Wo terey lams ki khushboo meri saansoon mein hai
In khiyaloon ko hawa deney ka mosam aagaya


MERI ANKHOON MAIN BASAY HO

Meri Ankhon Main Basay Ho Tum Duaa Bun Ker
Tumhain Zindagi Bher Yunhi Chaounga Aitebaar Karo,


Meri Her Souch Main Shamil Hai Khayaal Tumhara,
Isay Sansoon Main Rachaounga Aitebaar Karo

Hay Laboun Per Jo Merey Naam Tumhara
Tumhain Apna Main Banaounga Aitebaar Karo,

Hain Kathin Rah-e-Wafa Jana,Toh kYa Hota Hay?
Dil Jala Ker Main Nibhaounga Aitebaar Karo

Mujhe Tum Say Hai MUhabbat tumhain Khaber Hai yeh
Main Isay Zindagi Banaounga Aitebaar Karo,

Tumhara He Chehra Basa Hai Meri In Aankho Main,
TuMhian Tabeer Banaounga Aitebaar Karo

Tumhain Paa Ker Ho Jayegi Sehal Zindagi Meri.
Yehi Duaa Bas Mangounga Aitebaar Karo,

Khuwaboun Main Kabhi Khayaloun Main Kehta HOuN Tumse Yehi
Main Zindagi Tum Sung Sajaoungi Aitebaar Karo....!!


MUHABBAT AISA DARIYA HAI


Mohobbat aisa derya hai

ke barish rooth bhi jaye to

pani kam nahi hota.

IK HATH MAIN KANGHI



Ek Haath Main Kangi Zulfain Sanwartay Hain
Seenay Per Haath Rakh Kar Tujh Ko Pukartay Hain
Ab Kiya Batayain Zalim, Hum Kiyon Guzartay Hain
Sunday Teri Gali Main, Monday Teri Gali Main

Itnay Parhay Hain Sar Per Danday Teri Gali Main
Arman Huway Hain Saaray Thanday Teri Gali Main

Tu Nay O Bay-Reham Hum Ko Bohat Sataya
Sandal Dikha Dikha Kar Hum Ko Bohat Bhagaya
Aey Bay-Reham Tujh Ko Hum Per Reham Na Aaya
Hum Khudkushi Karain Gain One Day Teri Gali Main

Itnay Parhay Hain Sar Per Danday Teri Gali Main

Arman Huway Hain Saaray Thanday Teri Gali Main

Tujh Per Nazar Thi Apnay Anjaam Per Nahin Thi
Yeh Haal Ho Ga Pit Kar, Hum Ko Khabar Nahin Thi
Nazr-e-Karam Thi Teri, Laikin Idhar Nahin Thi
Hum Garhnay Chalay Thay Jhanday Teri Gali Main

Itnay Parhay Hain Sar Per Danday Teri Gali Main
Arman Huway Hain Saaray Thanday Teri Gali Main

Jootay Utha Kar Ab Tou, Huway Hum Rawaana
Per ! Har Giz Na Khatam Hoga, Yeh Ishq Ka Fasana
Dhond Hi Lain Gai Koi, Deedar Ka Bahaana
Baicha Karain Gain Aakar, Anday Teri Gali Main

Itnay Parhay Hain Sar Per Danday Teri Gali Main
Arman Huway Hain Saaray Thanday Teri Gali Main


DEKHTA REHTA HUN



ME USS KO DEKHTA REHTA THA HAIRATON SE FARAZ,
YEH ZNDAGI SE TAA'RUF KI IBTIDA THI MERI !

UDASS KERNA THA



Usay udas b krna tha khud b rona tha


Ye hadsa b kabhi to hona tha


Wo mjh ko tor k phir jorta aksar


Main us k wastay jaisay khilona tha

SAFAR TO MAINE KIA THA


safar to maine kiya tha,
warna saz o saman us ke the.
Main to bus razdan tha,
warna to sare raaz us ke the.
Who dariya main pyasa baitha tha,
jab key samandar tamam us ke the.
Who dhoop main baitha tha saya dene ko,
jab ke darakth sare sayadaar us ke the.
Aur un to bazaari logon main risq maine bata tha,
lakin dar parda sare haat us ke the.
Maine jab kamal bulandi par jake soncha OMER,
yeh to sare kamal us ke the.


DEKHA TUJH KO


Dekha tujh ko to mujhe piyar ki chahat si hogai
Hum ko hr lamha khush rehne ki aadat si hogai

soocha na tha kabhi ishq bhi kaun gi
ab Mohabbat se badi mujhe mohabbat si hogai


MUJHAY AFSOOS HAI



Mujhay afsos hai janaan, tumhein paney ki khatir bh

zamaney key usoolon sai baghawat ho nahi sakti

Meray hathoon sai yun toheenay ulfat ho nahi sakti


Mujhy Aaeenay sai aisi adaawat ho nahi sakti



Mohabbat ki qasam aisi Mohabbat ho nahi sakti


Wahan per mai nahi hoon gi, han mein nahi hon gi


TUM CHAHOO TO

Tum Chaho To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Sakti Ho.
Tum Chaho To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Sakti Ho

Tum Chaho To Mujhay Sahra Say Nikal Sakti Ho
Tum Chaho To Mujhay Saiban Day Sakti Ho

Tum Chaho To Mujhay Tapte Dhoop Say Bacha Sakti Ho
Tum Chaho To Mujhay Apnay Wajood Main Chupa Sakti Ho

Tumhay Malom Hai Kay Yah Zinadagi Kuch Dino Ki Hai
Tum Chaho To Isay Hans Kar Guzar Sakti Ho

Tum Chaho To Mujhay Apne Zindagi Bana Sakti Ho
Tum Chaho To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Sakti Ho

Tum Chaho To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Sakti Ho
Tum Chaho To Kia Nahi Kar Sakti

Tum Chaho To Sub Kuch Kar Sakti Ho
Busssssssssssssssssssss..

Baat Tumhary Chahnay Ki Hai..


SATH CHALAY


Sath chaly dil ka dil ko nahi roka hum nay

jo na apna tha usay toot ka chaha hum nay

ik dhokay main kati umer hamari sari


kya batin kesay khoya kesay paya hum nay


DIN YEH RAAT



din ye raat ye lamhay achay say lagtay

tumhay sochoon to saaray silsilay achay saay lagtay haien


bohat door tak chalna magar phir bhi wahien rehna

mujhe tum say tumhi tak faslay achay say lagtay hain


URDU LANGUAGE

اردو زبان بہت اچھی ہے

UDASSS ZINDAGE

dekhaa hai zindagii ko kuchh itanaa qariib se
chehare tamaam lagane lage hain ajiib se

is rangatii hayaat kaa kab tak uthaayain baar
biimaar ab ulajhane lage hain tabiib se

har gaam par hai majamaa-e-ushshaaq muntazir
maqtal kii raah milatii hai kuu-e-habiib se

is tarah zindagii ne diyaa hai hamaaraa saath
jaise ko_ii nibaah rahaa ho raqiib se

KUCH BATAIN

kuch batain aisy hoty hain

jo bohat sunmbhali jaty hain

jo bin kahay sun li jaty hain

jo lafzon ki mohtaj nahin

bus jazbon say sumjhi jaty hain

jo titli jaisy dikhty nahin
pr khushbu ki tarha bhaty hain

jinhain sawan rut ki zaroorat nahin

bin sawan hi baras jaty hain

in baton ko tum phir

bin khahay hi aisay khilnay do

kuch jazbon ki abyari karo

inhain kali say phool bununay do

inhain lafzon ki tum dhoop na do

inhain waqt ji miti main phulnay do

in baton ka tum phir phul laina

inhain phool k jaisay sunmbhal laina
kiun k

kuch batain aisy hoti hain

jo aisay sunmbhali jaty hain


DOST MILTAY HAIN YAHAN


Dost miltyen hain yahan dil ko dhokhanay kay liye
Unglian rakhtyen hain who hum pay uthanye kay liye

Who hawaoun ki tarahn rukh ko badal layetyan hain
Hum naseeboun say larye thay jinay panye kay liye

Na kasoor un ka ye eik rasam chali aii hai
Tuhmatyen hoti hain dunia mei laganye kay liye

Na-Khuda maan kay bhetye thay jin ki kashti mei
Who humyen mujoun mei laye thay dubanay kay liye

KHAMOSH BETHO GAY

KABHI KHAMOSH BETHO GAY KABHI GUN GUNAO GAY

MAIN ITNA YAAD AAOONGA MUJHAY JITNA BHULAO GAY

KOI JAB POOCH BETHAY GAA KHAMOSHI KA SABBAB TUM SE

BUHAT SAMJHANA CHAHO GAY MAGGAR SAMJHA NAA PAO GAY

MERA GHUM MUSKURANAY MAIN KAHIN MAJBOOR KAR DAY GAA

KISSI MEHFIL MAIN JAO GAY TO RASMAN MUSKURAO GAY

KAHIN PAR BHI RAHAY HUM TUM MUHABBAT PHIR MUHABBAT HAI

KAHIN HUM YAAD AAIN GAY KAHIN TUM YAAD AAO GAY

MERI PEHLI KAWAISH

vo pyar ki kahani ho gai hai purani

yeh meri zindgani ho gai hai anjani

khoya khoya sa hoon,bikhra bikhra sa hoon

ajab intshar main kut rahi hai jvani

zulmat k andhairay main,nafrtoon k sayay main...

ganva rahay hain her din,her sham suhani

yadoon ka tufan jo umad ker aj aya

pta challa k apna mazi hai faqat pshemani

mayoosi guna hai,mayoos na ho JAMI

sayah raat k baad subhay roshan hai abhi aani,,...............



SADIYOON BAD


to mila bhe to sadiyoon k bad bhe

mere lub pay koi gila na tah

mere chup nay osay rola diya

jisay guftago main kamal tah

MERI TANHAIYAN

Meri Tanhaiyon Tumhi Laga Lo Mujhko Seeney Se..

Ke Main Ghabra Gaya Hon Isterhan Rou Rou Ke Jeeney Se..

Yeh Adhi Raat Ko Phir Churiyan Si Kya Khanakti Hain..

KOi Ata Hai Ya Meri Zanjeerein Chhanakti Hain..

Yeh Kesi Houk Si Uthti Hai Khamoshi Ke Seeney Se..

Ke Main Ghabra Gaya Hon IsTerhan Rou Rou Ke Jeeney Se..

Bohot Hain Rahein Piyar Ki Aur Zindagi Kam Hai..

Ghata Ghir Ke Ayi Hai Diye Ki Lou Bhi Madham Hai..

Kinara Door Hota Jaraha Hai Phir Safeeney Se..

Ke Main Ghabra Gaya Hon IsTerhan Rou Rou Ke Jeeney Se..

Meri Tanhaiyooonnn Tumhi Laga Loo Mujhko Seeney Se...

Ke Main Ghabra Gaya Hoon IsTerhan Rou Rou Ke Jeeney Se..

AKHAIR USAY KEH DIA

akhir ushay keh diya.
mat kar ghuror apnay hathon ki lakiroo per.
kyon k kismat toh unki bhi hoti hai.
jin k hath nahi hotay.

DASTANAY MOHABBAT



tow nay iss dar sain kitabain parna chordiya
kahain kabi chap jahay hamari dastanay mohabbat
pir kahain zikar na hoo tayra kahai mayray sath
hum nay iss dar sain tum par sochna chor diya

RUKHSARLO PHIR JANA

rukhsarLo phir Jana
Naya saal a gaya
Iss purmasarat moqa per
Mery pass tumhein deny k ley kuch bhi nahe
Saway
Chand Jazbat, chand Duwien, or Gulab k
Ager sun sacoo tu sun lena
Ager jan saco tu jan lena
Ye Phool, ye Duwien, or mery Jazbat
Tum say Muhabat ke Gawahi daien gay


KISI KI YAAAD MAIN

Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya.....................................

Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya

Sab beeti hui baatein bhula di hum ne
Ab Dil main maazi basana chor diya

Kaanton se bhar dete hain log daaman
Hum ne Aangan main Phool khilana hi chor diya

Kabhi na maangen ge kisi se bheek Mohabbat ki
Is hi liye hum ne Pyaar karna hi chor diya


BHULANA

Tumhen Bhulana Hum Chahte Hain
Teri Yaadon ko dil se Nikalna Hum Chahte Hain
Magar Hum Aisa Kar Nahin Sakte Mohabbat Cheez hi aisee hai

KUCH NAHEEN MILTA

KHUSHIKISI KI ANKH KAY SAPNAY CHURA KAR
KUCH NHEIN MILTA
MANDEROON SE CHARAGOON KO BUJA KAR
KUCH NHEIN MILTA
USAY KEHNA PALKOON PE NA TANKAY KHUAAB KI JALER
SUMANDER KAY KINARAY GHER BANA KAR
KUCH NHEIN MILTA


NAFRAT HAI


ose nafrat hay meri muhabat mere janon se
os k lie tamam jazbat ko sola ker dekha hay
kia woh gee lay ga mera bager
mein os k samne kayee bar yea sawal dohra ker dekha hay
toi bhi shaks meri nigahon ko jachta nahin tumhare ilawa
mein nay kayee bar tum ko nazron se hatha k dekha hay

YEH ANSOON




Yeh aasoon yun bahakar barbad na kar
mere marne ke baad tumhen inki jarrorat hogi


NAMI SE HAI


riasham say ankh main nami si hai,
aaj phir aap ki kami si hai,

dafn ker do humain k saans milay,
nabz kuch dair say thami si hai,

waqt rehta nahi kabhi ek sa,
iss ki adat bhi admi si hai.......


SATH HOON

Main hamesha saath hoon
Saamne naa sahi
Par ab bhi paas hoon
Gar lage kabhi akela
Ya rahe udaas mann
Mushkil Par rahi ho Rahien
Aur jalne lage mann
Koshishe naa ho rahin ho poori
Kabhi rahe agar Bari majboori
Kabhi haar Mat Manna
Mushkilon me apne aap ko jaannaa
Bas ek baar pukaarna
Dil se mera naam lena
Tab pahuch jaayegi mere pass
Tumhare dil ki har aawaaz
Main hamesha saath hoon


BE KHUWAB


LOOG AKSER BE KHUWAB HOTE HAIN
CHAND CHARE AZAB HOTE HAIN

KAB MITATEE HAIN TANGSHI DIL KEY
HUSAN WALI SURAAB HOTE HAIN

KTINEY KAANTEIN HAIN UN KEE PAHLOO MEIN
JIN KEY CHAREE GULAAB HOTE HAIN

RAAAZ KAHTA HAI CHAND SAWALOON KEY
SIRF AANSON JAWAB HOTE HAIN


EHTISAAB

kya ajab ehtisaab apna tha..

jaan apni azaab apna tha..


kuch miley loog bhi zamana saaz..
kuch muqaddar kharab apna tha..

ye k mukhliss thay hum mohabaat main..
jurum bus yeh janab apna tha..

ab kia karain us shakhs sey gilla kar k..
woo bhi to intekhaab apna tha...


MUSKILAIN

Mushkilen dilo ke irade aazmaeingi,
Khawabo ke parde nigaho se hatayangi.
Girkar hosla mat haarna,
Yeh thokerein hi tujhe chalna sikhayengi.


NAZAR MAIN ZULMAT


NAZAR MAIN ZULMAT, BADAN MAIN THANDAK,

JAMAL KITNA AJEEB SA THA

MAIN OS KI CHAHAT MAIN GHAR SE NIKLA TO

HAAL KITNA AJEEB SA THA


NA MAIN NE US KO KHATOOT LIKHE

NA OS NE MERI PANAH CHAHI


DONOO'N KO APNI BEKHUDI PE

MALAAL KITNA AJEEB SA THA


WO APNI RAATOON MAIN CHAND DEKHE,

MAIN APNI RAATO MAIN OS KO SOOCHON


BADALTE LAMHOON MAIN SOOCH KA YE

VISAAL KITNA AJEEB SA THA


YE ZEEEST(life) TANHA HI KAAT LO GE

JO MAIN NE POOCHA TO RO DIYA WO


JAWAAB KITNA AJEEB SA THA

SAWAAL KITNA AJEEB SA THA


ANKHAIN




AnKhein Shab_E_Firaq Mein kyoun Hochali hain Band .........

Aati Hai Mout Nend Ka Shayed Bahana Hai ..........

Ayee Dost Humnay Tark_E_Muhabbat

Ayee Dost Humnay Tark_E_Muhabbat K Bawajood........

MehSooS Ki Hai Teri Judai Kabhi Kabhi .......