Wednesday, 7 March 2012

apna maan lia

jis ko dil ne apna man liya
us ko dil torney ki adat thi

humein dil jorna ata tha
us ko tanz karney ki adat thi

humein bardasht kerna ata tha
usey mazak uraney ki adat thi

humein sabar kerna ata tha
usey dosaroon ki khushiyoun ko

ghum mein badalney ki adat thi
humein ghum ko bhi


khushi mein badalna ata tha
usey kisi ke dard ka ehsaas na tha


humarey pass dard hi dard tha so sarey dard
hum ne dil mein chupa liye seh liye


bus bewafai na seh sakey
aur itni door ja basey


jahan us ki yadein bhi na aa paein
magar yadon per


kis ka bus chala hai so hum bhi
un ko na bhool paein hain

0 comments:

Post a Comment