khud apna muqadar sanwaare to koi
woh sunta hai sab ki pukare to koi
gunhagaar hoo mien,khatakaar hoo mien
isi ke reham ka talabgaar ho mien
wohi jo ke awal wohi jo ke aakhir
wohi jo ke ghayab wohi jo ke hazir
jo rehta hai dil mien kahabardaar hai woh
musibat mien sab ka madadgaar hai woh
isse yaad rakho ke jaana wahee hai
yea duniya hamesha thikaana nahi hai
woh qudrat mien jiski sabhi khushk-o-tar hai
ayaa aur nihaa per issi ki nazar hai
wohi sab se aala wohi sab se balaa
woh sunta hai sab ki badi shaan wala
0 comments:
Post a Comment