Sunday 9 October 2011

MEHFAL E YARRAN


Who Mahfil-e-Yaarran.

Woh khosheon k pal.
Woh chouti si baaten

Woh lambay safar

BUHAT YAAD AYEN GAY,BUHAT YAAD AYEN GAY

Woh phollon ki kalieyen.

Woh tang galeayan

Woh tanhai k goshey

Woh ajj or kal

Woh guzarti zindagaani

Woh safar kahani.

Kuch muraten jani anjani.

Kasey bol payen gay woh guzray hoey pal

BUHAT YAAD AYEN GAY.BUHAT YAAD AYEN GAY

Woh baaten dill ki

Woh saaeten din ki

Woh mill bethana

Woh un ki qurbat k pal

Woh duop chawon ka khel

Woh un se hamara mail



Dararkhton k saye main chupna chupana

Kabi un ko dundana kabi khud kho jana

Kasey bol payen gay woh muhabat k khel

BUHAT YAAD AYEN GAY.BUHAT YAAD AYEN GAY

Socha tu na tha k asa b waqt ayey ga

Jab har pal udasi main guzar jaey ga

Phir muskarahaten routh jaen gai

Tanhai ka dor b ayey ga

Phir kahan se laen gay woh guzre hoey pal ajiz

BUHAT YAAD AYEN GAY.BUHAT YAAD AYEN GAY


0 comments:

Post a Comment