Sunday, 9 October 2011

PHIR SEY MOASAM BAHAROON KA

Phir Say Mousam Baharoon Ka Anay Ko Hai, Phir Say Rang-E-Zamana Badal Jai Ga
Ab Ki Bazam-E-Chiraghan Sajja Len Gain Hum, Yeh Bhi Aarmma Dil Ka Nikal Jai Ga

Aap Kar Den Jo Mujh Par Nigha-E-Karam, Meri Ulfaat Ka Reh Jai Ga Kuch Bharam
Yohn Fasana Tu Mera Rahay Ga Wohi, Sirf Anwaan Is Ka Badal Jai Ga

Pheeki Pheeki Si Kion Shaam-E-May Khana Hai, Luttf Saaqi Bhi Kam Khayali Paimana Hai
Apni Nazroon Say Hi Kuch Pilla De Jiey, Rang Mehfil Ka Khud Hi Badal Jai Ga

Merey Mitnay Ka In Ko Zara Gham Nahin, Zulf Bhi In Ki Aye Dost Barham Nahin
Apnay Honay Na Honay Say Hota Hai Kya, Kaam Duniya Ka Yohn Hi Tu Chal Jai Ga

Aap Nay Dil Jo Mohsin Ka Toora Tu Kia, Aap Nay Is Ki Duniya Ko Choora Tu Kia
Aap Itnay Tu Aakhir Pareshan Na Ho, Woh Sambhaltay Sambhaltay Sambhal Jai G


0 comments:

Post a Comment