Sunday 9 October 2011

KUCH BATAIN

kuch batain aisy hoty hain

jo bohat sunmbhali jaty hain

jo bin kahay sun li jaty hain

jo lafzon ki mohtaj nahin

bus jazbon say sumjhi jaty hain

jo titli jaisy dikhty nahin
pr khushbu ki tarha bhaty hain

jinhain sawan rut ki zaroorat nahin

bin sawan hi baras jaty hain

in baton ko tum phir

bin khahay hi aisay khilnay do

kuch jazbon ki abyari karo

inhain kali say phool bununay do

inhain lafzon ki tum dhoop na do

inhain waqt ji miti main phulnay do

in baton ka tum phir phul laina

inhain phool k jaisay sunmbhal laina
kiun k

kuch batain aisy hoti hain

jo aisay sunmbhali jaty hain


0 comments:

Post a Comment