Sunday, 9 October 2011

AKS E KHUSHBOO

Aks-e-khushboo hoon bikharnay say na rokay koyee---
Aur bikhar jaon to mujh ko na samaitay koyeee


Kamp uthtee hoon mein ye soch kay tanhayee mein---
Meray chehray per tera naam na perh lay koyee


Jiss tarah khwab meray ho gaey raiza raiza---
Uss tarah say na kabhee toot kay bikharay koyee


Mein to uss din say hirasaan hoon kay jab hukm milay---
Khushk phoolom ko kitaaboon mein na rokay koyee


Ab to iss raah say woh shakhs guzarta bhee naheen---
Ab kis umeed pay derwazay say jhankay koyee


Koyee aahat koyee awaz koyee chaap naheen---
Dil kee galiyaan baree sunsaan hein aaey koyee


0 comments:

Post a Comment