Saturday 8 October 2011

IK WAADAA


kiya hai tum ne hum se aik wada yaad rakhna

bhool na jana kahin apna irada yaad rakhna
ab na humain rulana tum , ab na door jana tum
pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna
dil to na dukhao ge mujhay chhor to na jao ge
dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna
tum jo chhor jao ge hum to mar hi jaian ge
tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna
chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai
dil toor kar humain chhor kar kahin na jana yaad rakhna


0 comments:

Post a Comment