Sunday 9 October 2011

SAFAR TO MAINE KIA THA


safar to maine kiya tha,
warna saz o saman us ke the.
Main to bus razdan tha,
warna to sare raaz us ke the.
Who dariya main pyasa baitha tha,
jab key samandar tamam us ke the.
Who dhoop main baitha tha saya dene ko,
jab ke darakth sare sayadaar us ke the.
Aur un to bazaari logon main risq maine bata tha,
lakin dar parda sare haat us ke the.
Maine jab kamal bulandi par jake soncha OMER,
yeh to sare kamal us ke the.


0 comments:

Post a Comment