Sunday 9 October 2011

IK HATH MAIN KANGHI



Ek Haath Main Kangi Zulfain Sanwartay Hain
Seenay Per Haath Rakh Kar Tujh Ko Pukartay Hain
Ab Kiya Batayain Zalim, Hum Kiyon Guzartay Hain
Sunday Teri Gali Main, Monday Teri Gali Main

Itnay Parhay Hain Sar Per Danday Teri Gali Main
Arman Huway Hain Saaray Thanday Teri Gali Main

Tu Nay O Bay-Reham Hum Ko Bohat Sataya
Sandal Dikha Dikha Kar Hum Ko Bohat Bhagaya
Aey Bay-Reham Tujh Ko Hum Per Reham Na Aaya
Hum Khudkushi Karain Gain One Day Teri Gali Main

Itnay Parhay Hain Sar Per Danday Teri Gali Main

Arman Huway Hain Saaray Thanday Teri Gali Main

Tujh Per Nazar Thi Apnay Anjaam Per Nahin Thi
Yeh Haal Ho Ga Pit Kar, Hum Ko Khabar Nahin Thi
Nazr-e-Karam Thi Teri, Laikin Idhar Nahin Thi
Hum Garhnay Chalay Thay Jhanday Teri Gali Main

Itnay Parhay Hain Sar Per Danday Teri Gali Main
Arman Huway Hain Saaray Thanday Teri Gali Main

Jootay Utha Kar Ab Tou, Huway Hum Rawaana
Per ! Har Giz Na Khatam Hoga, Yeh Ishq Ka Fasana
Dhond Hi Lain Gai Koi, Deedar Ka Bahaana
Baicha Karain Gain Aakar, Anday Teri Gali Main

Itnay Parhay Hain Sar Per Danday Teri Gali Main
Arman Huway Hain Saaray Thanday Teri Gali Main


0 comments:

Post a Comment